Pila Bukhar Ke karaan Lakshan | Yellow Fever Kyu Hota Hai
Pila Bukhar Kaise Hota Hai | Pila Bukhar Hone Ke Kaaran :-
Peela
Bukhar Teji se failne wala Rog hai Peela Bukhar vishanu stegomyia
machhar ke katne se hota hai. Ye machhar bahut hi Khatarnak Hota Hai.
Ye machhar lagbhag Din Mein Hi Katta hai. Pila Bukhar RNA virus Se Hota
Hai.
Pila Bukhar ki 3 Awastha Hoti Hai :-
1.
Kriyashil Avastha (Active Stage):- Healthy Sharir ko Jab Rog Apne mein
le leta hai us avastha ko kriyashil avastha kehte hain. Is avastha Mein
Sharir ko thand Lagti Hai Badan Dard Karta Hai Saat hi Susti Bukhar
Lagta
2. Aana Kani
Avastha (Inattentiveness Stage):- Is avastha Mein Rogi ko Bukhar Kam
Hota Hai Saathi Susti bhi kam hoti hai Badan Dard bhi thoda sa Hota
Hai. is avastha Mein Rogi ka acche se dekh Bhal ki Jaaye to rogi thik
ho jaata hai.
3. Durbal
Avastha (Weak Stage) :- Rogi ke Sharir ka taapmaan badh Jata Hai is
avastha mein. Piliya ho jaana, urine band ho jaana, weakness badh jaana,
behosh ho jaana jaise problems hoti hai.
Pila Bukhar Ke Lakshan :-
1. Pila Bukhar Ke Lakshan lagbhag 5 se 7 Tak rehte hai. Is doraan rogi ko tej Bukhar Aur piliya bhi ho sakti hai.
2. Is mein pila bukhar kabhi kabhi Kam ho jaata hai. Aur kabhi kabhi badh jaata hai
3. Rogi ko thik Kiya jaa sakta hai agar Samay pe uska Ilaj shru Kar diya jaaye. Ye garam isthan pe Hota hai.
4. Rogi Ka pura sharir Lal colour Ka ho jaata hai.
5. Khoon ki Ulti Hona
6. Jatka Aana
7. Sirdard Hona
8. Aakhein, muh se rakt nikalna
9. Sharir mein Dard Hona
10. Piliya Hona
Pila Bukhar Ka Ilaj | Treatment of Yellow Fever :-
Pila
Bukhar Ka Ilaj agar test Ke according Kiya jaaye to jyaada acha Hota
hai. Is Ke Ilaj Ke liye aap apne najdik ke doctor se mil sakte hai.
Doctor Aapko kuch test karwange uske according aapka treatment Kiya
jaayega.
1. Yellow Fever
Vaccine :- Ye vaccine jyaada tar desh mein lagwana compulsory hai.
Jaise ki south America, south Africa. Kyu ki in desho mein ye Bimari
jyaada Hoti hai. Ye Tika 9 saal se Kam Bache ko nahi lagaya jaata hai.
2.
Yellow Fever Vaccine :- Ye Vaccine pila Bukhar Ke liye banai gayi hai.
Par iska istemaal karne se pehle apne doctor se jarur puche.
3. Stamaril :- Ye dawa bhi pit jwar Ke liye banai gayi hai. Iska istemaal bhi apne doctor ki Salah se he karna Chahiye.