Aloevera ek complete ayurvedic medicine hai jiska upyog kafi samah se kiya ja raha hai. Is koi side effects nahi hai. Skin or sharir ki problems ko dur karne mein aloevera madad karta hai. Aloevera mein vitamins or minerals paaye jaate hai. Or is liye is ka upyog jyaada hota hai. Toh aaiye or jaan lete hai aloevera ke kuch fayede.
1. Sunburn skin ko thik karta hai - Dosto hum sabhi ye jaante hai ki sunlight se hame vitamin D milta hai jo ki hamare sharir ke liye bahut acha hota hai. Saath hi thodi der dhoop mein khade hona se hamare sharir ka dard kam hota hai. Par agar jyaada der dhoop mein rehte hai to hamari skin mein dhoop se dark spot ho jaate hai. Toh is dark spot se ladne ke liye aap aloevera gel or aadhe nimbhu ka ras in dono ko ache se mix kare or apne chehre pe lagay. Or 20 minute baad apne chehre ko normal paani se dho le. Isse karne se aapko bahut fayeda hoga. Or 3- 4 baar iska upyog karne se aapko fayeda dikhega.
2. Hair ko grow karne mein upyogi - Aloevera gel ka upyog hair grow karne mein upyog hota hai. Aloevera gel or arandi ka tel in dono ingredients ko ache se mila ke apne sir pe iski maalish kare raat mein or subah uthke isse dho le or shampoo Hse baal dho le. Dhyaan rahe dosto isse sirf aap jafte mein 1 baar hi upyog kare.
3. Pimples ka treatment kare - Pimples ka treatment aloevera se kare isse adhik laabh hota hai. Aap aloevera gel ko pimples pe ache se maalish kare 5 minute tak. Fir apna chehra normal paani se dho le. Saath hi aap jyaada oily cheejo ka sevan na kare.
4. Skin Moisturizer ka kaam karta hai - Aloevera skin ko moisturize karta hai. Agar aapki skin dry hai to aloevera gel ka istamal aap hafte mein 3 baar apne chehre pe upyog kare.
5. Jalan or Cut pe Aloevera use kare - Agar aapke shahrir ke kisi hisse mein jalan ho ya koi ghaav ya cut ho toh aloevera gel ka istemal jarur kare. Isse aapko fayeda hoga.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog