![]() |
Dandruff nikale |
How to remove hair dandruff
Aaj kal dandruff hona aam baat ho gayi hai. Kyun aaj vaatavaran pradushit ho chuka hai. Hair dandruff khaas kar baalo ka dhyaan na rakhne se, baalo mein gel ka prayog karne se, hair oil se or baalo mein chemical shampoo ko use karne se hota hai. Dosto hum alag alag gel or shampoo ka istamal to bade shok se karte hai par in sab se hamare baalo pe dandruff bhi hota hai. Vahi dusri taraf hamari salah hai ki aap in sabhi cheezo ka upyog kam se kam kare or apne hair ko rakhe healthy. Par iska ye matlab bhi nahi hai ki aap apne baalo ka dhyaan na rakhe. Aap ko apne baalo ko dhyaan jarur rakhna hai.
Kuch homemade solutions jisse aap dandruff kam kar sakte hai
1. Dandruff hatane ke liye best or sabse aasan tarika hai aap ek egg katori mein le or ache se chamach se mila le or fir apni hair scalp pe ache se laga le or kareeb 20 se 25 minute ke baad apna sir shampoo se dho le.
2. Dandruff remove karne ke liye dahi ka bhi upyog kar sakte hai. Dahi se dandruff kam karna bahut purana or asardar nuskha hai. Iske istamal ke liye aapko dahi apni hair scalp mein ache se lagani hai or aadhe gante baad apna sir shampoo se dho le.
3. Lemon se aap rusi ko kar sakte hai gayab. Iska upyog karne ke liye aapko ek nimbhu ka ras katori mein nikal le or hair scalp mein ache se laga le or kareeb 20 minute ke baad aap sir ko pehle paani se dho le fir shampoo se apne baalo ko dho le. Is nuskhe ko jarur karke dekhe aap acha result milega
4. Neem ke patte se hamara baalon ka dandruff nikal jaata hai waise iska upyog lep mein bhi kiya jaata hai par lep ka upyog na kare hamari salah hai aap se. Neem ka upyog paani banake kare. Ek patile mein kuch taaje neem ke patte daale or paane daal ke ache se ubaal le fir paani ko thanda hone ke liye rakh le or fir paani shaan le fir apne sir ki neem ke paane se dheere dheere maalish kare. Is neem ke paane ka upyog karne se aapko bahut labh hoga.
5. Tamator se aadhe gante mein dandruff se paaye chutkara. Bas ek tamator le or mixer mein ache se phira le. Iske baad aap ek kapda le usmein ye tamator daal ke tamator la paani nikal le or apni hair scalp pe is paani ka upyog kare or lagbag 20 minute baad apna sir shampoo se dho le.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog