![]() |
Headache se relief paane ke homemade solutions
Is bagti zindagi mein jhaah subah se raat tak sabhi ko baagna padta hai waha sirdard hona common baat hai. Aaj kal technology ka daur hai jaha har kisi ko mobile phone, tablet or computer hai in sabhi cheezo ka jyaada upyog karne se or kuch logo ko jyaada kaam ke burden ki wajah se sirdard ki samasya hoti hai. kai log is problem se ladne ke liye tablet ka use karte hai jo ki bilkul galat hai. Hame tablet ka use nahi karna chahiye.
Aaj hum aapko kuch natural homemade solutions batayge wo bhi hindi mein
1. Aap ek kapda lijiye us mein baraf ke tukde daal de or fir apne maathe pe thodi thodi der rakhe or dheere dheere aap ka headache dur ho jaayega.
2. Seb khaaye
Seb se sirdard gaayab ho jaata hai. Seb ka upyog kare aap ko isse jaldi faayeda hoga. Seb ke chote slice kare, usme thoda nimbhu laga le or thoda namak chidak le. Fir thodi der mein aap ka sirdard gayab ho jaayega.
3. Acupressure Point ko dabai
Hamare haath mein acupressure point ko 5 minute tak daba le. Acupressure point image mein bataya gaya hai. Aap ache se image dekhe or apne apne acupressure point ko 5 minute tab dabaye. Dhyaan rahe aapko dono haatho mein is ko karna hai. Ise karne se aap ka headache kam hota ha
4. Garden mein walk kare
Roj subah jaldi uthke ya evening mein nange paav garden mein jo ghaas hote hai us mein walk kare. Aap ke jo paav mein acupressure point khud hi dabega or aapko sirdard ki problem nahi hogi.
To umeed karte hai aap ko is problem ke gharelu upaye karna samaj aay hoge.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog