oily skin se oil ko kaise remove kare
Oily skin hona khud mein ek bahut buri baat hai. Oily skin se aapka confidence level bhi kam hota hai. Or kam confidence ki vajah se aap success achieve nahi kar paate hai. Dosto aap ne apne chehre pe kai facewash ka upyog yo kiya hoga par in facewash ke upyog se chehre ka oil ghatne ke jagah ulta jyaada ho jaata hai. So friends aaj aap ki niraashaa dur hone wali hai. kyun ki is nuskhe ko try karne ke baad aap apne oily face ko ek fresh skin face mein jab khud ko dekhege to aap apne chehre se pyaar karne legage.
Homemade solutions in hindi ki aur se ye oil free skin ke liye nuskha
Dosto aaj jo hum aapko ye nuskha batane wale hai is nushke ko banane bahut hi aasan hai. Isse ghar mein koi bhi bana sakta hai. Sabse pehle aapko aadhe tamator ki jaaruat hoti hai. Aadhe tamator ka pulp nikalna hota hai. Aap pulp to haath se bhi nikal sakte hai ya pulp nikalne ke liye aap mixture ka upyog bhi kar sakte hai. Pulp nikalne ke baad ise kisi alag katori mein rakhe or phir aadhe nimbhu ki boonde tamator ke pulp mein daal de. Or phir dono ko ache se mila le. Phir aap ise apne haath se chehre pe lagaye. Kyun ki tamator se hamara chehra healthy banta hai isse oily ko bhi remove karne mein madad milti hai saath mein acne, pimple or anya problem se chutkara milta hai. Or nimbhu se hamare chehre pe maujud bacteria ko maarne mein madad milti hai.
Nuskhe ka kaise upyog kare:-
Nuskha puri tarah se tyaar hone ke baad aap is nuskhe ko apne haath se upyog kare apne chehre pe or neck pe bhi. Ise chehre pe lagane ke baad aap 20 minute tak ise apne chehre pe lage rehne de. Baad mein aap apna chehra normal paanee se dho le. Or phir aap apna chehra oil free paayege.
Nuskhe ka upyog kitni baar kare:-
Is nuskhe ka upyog aap hafte mein 2 se 3 baar kare. Yaad rahe dosto is nuskhe ka upyog daily na kare.
Homemade Solutions In Hindi Additional Tips:-
1. Jyaada der baahar dhoop mein na jaaye. Kyun ki dhoop mein ghumne se aapke chehre pe jyaada oil nikalta hai
2. Apne face ko kam se kam din mein 4 baar paane se ache se dho le.
3. Cleanser ka upyog kam se kam kare
4. Jyaada oily khaane ka upyog na kare
5. Tension free life jeene ki koshish kare
6. Tamator or kakdi ka sevan jyaada kar Isse aapko bahut madad milegi oily skin se chutkara paane mein
7. Tamator or kakdi ka sevan jyaada kar Isse aapko bahut madad milegi oily skin se chutkara paane mein
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog