Tan ko skin se kaise remove kare
Dosto aap sabhi to jaante hi hoge ki dhoop mein baithne se hame vitamin D milta hai jo ki hamari body ke liye bahut faydemand hota hai. Saath hi hum agar jyaada dhoop mein bahar baithte hai ya ghoomte hai to hamari skin mein tan ki samasya ho jaati hai kehne ka matlab ye hai ki hamara face kaala pad jaata hai saath mein hamare face dull dikhta hai. Dosto aaj tan ki samasya bahut logo ko hai. Ye samasya dhoop mein ghumne se hoti hai. To aaj hum aapko is samasya ka homemade solutions bataige wo bhi hindi mein.
1. Aloe vera ka use kare
Aloe vera ke ped se ek pati aloe vera kaat ke us mein se gel nikal le or aloe vera gel ko apne face pe ache se 10 minute tak maalish kare or apna chehra normal paani se dho le. Ise lagane se aapka chehre swasth ho jaayega.
2. Nimbhu ka Ras
Nimbhu ka ras tan remove karne mein bahut faayedemand hota hai. Nimbhu se hamara chehra bacteria free rehta hai saath hi tan samasya ko dur karne mein bhi bahut madad karta hai. Toh aap nimbhu ke ras se apne chehre ko maalish kare 5 minute tak or agle 10 minute tak use apne chehre pe rehne de. Puri tarah se sukh jaane pe apna chehra normal paani se dho le.
3. Strawberry ka use kare
Strawberry tan ko hatane mein bahut madad karta hai. Saath hi aapki skin ko gora banata hai. Iska upyog karne ke liye aap pisi hui strawberry ka 2 chamach powder le or usmein thoda gulab jal or paani milai in sabhi cheejo ko ache se milai milane ke baad aap ise apne chehre pe lagai or fir jab puri tarah se ye suukh jaaye to apna chehra normal paani se dho le.
4.Besan ka use
Besan kai varsho se skin problem mein use hota hai. Isko istemal karne ke liye ek katori mein kuch besan le, thoda dahi or nimbhu ka ras in teeno ko ache se mila le or fir apne chehre pe laga le. Isse aapki twacha tan mukt ho jaayegi
5. Tomato and lemon juice
Sun tan hatane ke liye ek tomato ka pulp nikal le or saath mein nimbu ka ras mila le. In dono ko ache se mila le or fir apne chehre ko laga le. Ise apke chehre pe tan ki samasya dur ho jaayegi.
cool
ReplyDelete