![]() |
blood purify kaise kare |
Blood ko Purify karne ke homemade solutions
Jyaada tar skin problems ki samasya blood ka ashudhya hona mana jaata hai. Skin problems jaise ki daag dabe , pimples, black heads jaise problems blood saaf na hone ke kaaran se hoti hai. Agar blood saaf na ho toh koi bimari bhi ho sakti hai. Is liye aaj hum kuch tips aur kuch upchar batayege jisse aap ghar baithe blood ko saaf kar sakte hai aur ek healthy life jee sakte hai.
Blood Saaf karne ke gharelu tareeke:-
1. Tulsi :- Tulsi ek ayurvedic medicine hai jisse blood saaf kiya jaa sakta hai. Ismein anti bacterial properties paayi jaati hai. Iska sevan agar rojana kiya jaaye toh rakt shudh hota hai. Aur skin problems bhi jad se khatam ho jaati hai.
2. Nimbu Adrak ras :- Nimbu aur Adrak ka ras nikal ke rojana subah peeye. Ya fir Adrak ko pees le or alag katori mein thodi peesi Adrak aur thoda nimbu ka ras mila le. Aur dono ko mila ke rojana peeye. Isse bahut faayeda hoga.
3. Awla :- Awla sabse faydemand aur iska swaad bhi accha hota hai. Awla ki supari ka bhi prayog kar sakte hai. Awla blood ko purify karta hai. Swasth or sundar bhi rakhta hai.
4. Tamator :- Tamator ka upyog jyaada kare. Iska juice peeye din mein ek glass or sabjiyo mein bhi jyaada sevan kare.
5. Kakdi :- Kakdi khaane se bhi blood purify hota hai. Kakdi mein 80 percent paani hota hai. Jo sharir ko swasth rakhta hai.
6. Karela :- Karela ka juice bhi bahut fayedemand hota hai blood purify karne mein. Karela khaane ek healthy diet maani jaati hai. Is liye iska sevan jarur kare.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog