![]() |
Chashmah nikalne ke tips |
Chashmah hatane ke behtreen tips hindi mein
Aaj kal is technology ki duniya mein har kisi ko chashma lagna ek aam baat ho gayi hai. Kyun ki is digital duniya mein computer mobile or tv jaise electronic items ka upyog jyaada hone laga hai aise mein chashmah lagna ek aam baat ho gayi hai. Wahi agar hum bacho ki baat kare to aaj kal padai bhi mobile or online karte hai. Saath hi dusri taraf ve apna jyaada samay mobile mein game khelne mein bitate hai. Ve physically game nahi khelte hai. Or ghar pe hi mobile mein game khelte hai jo ki bahut galat hai or isse wajah se hi apni aankhein kharaab kar baithte hai.
Kuch Kaaran Jisse Aankhen Khararab hoti hai or Chashmah Lag Jaata hai
• Jyaada computer or mobile phone ka use karne se aankhein kharab hoti hai. In ka upyog jitna kam ho utna achha maana jaata hai.
• Kam roshni mein apni aankhein pe jor dene se. Aapki aankhein kharab hoti hai.
• Jyaada der tak tv dekhna poore poore cricket match dekhna, movies dekhne se
• Continue upar diye hue electronic items ka upyog na kare isse ankhein kharab ho sakti hai.
• Khaane mein dhyaan na dene se bhi. Dosto hamare sharir mein khaane peene ki kami hone se aankhein kharab or bhi kai saari bimariyan hoti hai.
Chashmah Hatane ke kuch tips
• Din mein 15 minute hari ghaas mein ghoomne se aankhon ki roshni achhi ho jaati hai. Isse rojana karne se aankhein kharab nahi hoti hai.
• Saath hi aap aankho mein saaf paani ke shite mare. Isse bhi aap ko kayi fayeda hoga.
• Bhojan mein hari sabjiyo ka jyaada sevan kare.
• Salad ka bhi jyaada se jyaada upyog kare.
• Gajar or Paalak ka juice hafte mein ek baar se do baar jarur peena chahiye. Gajar mein poshak tatwa paaye jaate hai. Jo aankho ko safe rakhte hai.
• Aapko jyaada se jyaada fruit khaane chahiye.
• Tv, computer, mobile phone jaise electronic item ka upyog kam kare
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog