Dosto badalte mausam ke saath hume kai baar fever yani jisse hum hindi mein bhukar kehte hai hota hai. Bhukar mein hum kuch accha nahi lagta hai or hum kai samay tak sone ki koshish karte hai. Par neend bhi nahi aati hai. Kyun ki saath hi hume sirdard hota hai. Sirdard ki wajah se hume neend nahi aati hai. Or dusro se naraaj hote hai. Toh aaj hum aapko kuch homemade solutions aur tips dene wale hai jisse aap fever se chutkara paa sakte hai. Or aap puri tarah se thik bhi ho jaayege.
Fever ke Symptoms hindi mein:-
• Fever se hume headache hota hai.
• Body mein pain hota hai. Sone ka maan karta hai par thik se neend bhi nahi aati hai.
• Jeeb mein kadwa pan mehsus hota hai.
• Kuch khaane mein achha nahi lagta.
• Sharir ka temperature increase hota hai.
• Agar kuch kaam karne jaate hai to thak jaldi jaate hai. Agar in mein se koi lakshan hota hai to samaj lena ki bhukar hua hai.
Homemade ilaj fever ka hindi mein :-
• Tulsi :- Tulsi ke pate bahut faydemand hote hai. Tulsi mein antibacterial properties paayi jaati hai jisse humare sharir ke bacteria kam hote hai. Is liye tulsi ke paate khaaye or paani piye. Ya fir aap tulsi ke pate ko chai mein mila sakte hai. Chai banaye or tulsi ke pate 5 daale. Aap ko jaldi fayda hoga. Din mein 2 baar jarur peeye.
• Laung aur Shahad :- Laung aur Shahad dono bahut faydemand hota hai. Shahad asaani se mil jayega aapko. Wahi aap ko laung ke 3 peice lena. Aur laung ko mixure mein mix kar lena. Fir thoda shahad aur laung powder lena mix karke dono ko ek saath sevan kare. Aap ko bhukar se fayda hoga. Is nuske ko aap 1 se 2 baar ki kare din mein istemal.
• Ginger :- Ginger yaani ki adrak. Adrak mein antibacterial, antioxidant properties paayi jaati hai. Adrak se sirdard dur ho jaat hai. Aap adrak aur ilaichi ki chai bana le or per jaaye. Aap ko jaldi fayda hoga. Aap is ko 1 se 3 baar kar sakte hai.
• Pudina :- Pudine sharir ke liye bahut thanda hota hai. Jab aap ko bhukar ho to pudina ki chai jarur bana ke piye. Pudina sharir ke garam temperature ko thanda karne mein madad karta hai. Pudine ki taazi pati 15 se 20 le. Aur ek cup paani mein daal ke ubaal le. Thoda shahad bhi mila sakte hai ya fir gud jisse hum jaggery bhi kehte hai. Mila le or fir thoda thanda hone ke liye rakh le. Jab thanda ho jaaye to pee le. Isse aap ka bhukar kam ho jaayega.
• Bhukar ki wajah se hum paani na peete hai. Toh paani jarur peeye.
• Saada khaana khaaye jaise ki khichdi. Heavy khaane na khaaye na masale wala or na hi jyaada oily khaana.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog