Dosto aap jyaada tar bahar ka khaana khana pasand karte hai. Wahin agar aap evening ke time mein bahar ka nashta khaana pasand karte hai. Par aapko bata dete hai ki bahar ka khaana khaane se food poisoning ke chances jyaada hote hai. Kyun ki bahar hotel restaurant mein jo khaana banta hai us mein jyaada safai ka dhyaan nahi rakha jaata hai. Jaisi ki sabjiyo ko bina dhoye unka upyog sabji banane mein karne se. Food poisoning ka hona swabhawik hota hai. Dosto aise khaana khaane se bacteria bad jaate hai or fir hum doctor ke paas jaate hai. Par aaj hum kuch gharelu upchar batane jaa rahe hai jisse food poisoning ka ilaj ho jaaye aur aap thik ho jaaye.
Kuch Kaaran jisse food poisoning hone ke chances hote hai :-
• Sabjiyo ko bina dhoye unka upyog khaane mein karne se food poison hone ke chances hote hai. Is liye koshish kare ki bahar jyaada na khaaye.
• Khaane mein makhi ke jaane se aur us khaane ko khaane se apke sharir mein bacteria ho jaate hai.
• Khaana agar aap rakha hua khaate hai to bhi food poisoning hota hai.
• Saaf safai na karne se agar aap us jaga h pe khaane khaate hai to food poisoning hota hai.
• Paani ke tank ko bhi kuch mahine mein saaf karna chahiye. Isse aap swasth rahenge.
• Khaane ke cheeje jaha hai waha aap saaf safai jarur rakhe.
Symptoms Food Poisoning ke :-
• Food poisoning hone pe thodi thodi der mein vomiting hoti hai.
• Loose motion hote hai.
• Headache hota hai.
• Aap ki ghabrahat bad jaati hai
• Digestion mein problem hoti hai. Aap ka digestive system kharab ho jaata hai.
Food Poisoning ka ilaj hindi mein :-
• Tulsi :- Tulsi mein antibacterial properties paayi jaati hai. Jo aap ke sharir mein majid bacteria ko khatam kart hai. To 8 se 10 tulsi ke patte ek cup paani daal ke. Patto or paani ko ek saath ubal le. Kareeb 10 minute tak. Fir jaise hi paani thanda ho jaaye aap us paani ko pee sakte hai.
• Electrolyte Powder :- Electrolyte Powder aap ko asani se mil jaayega medical store. Aap Electrolyte Powder ko pura pee sakte hai ek din mein. Ya aap ko thoda peena hai to ek glass paani mein 2 se 3 chamach powder daal ke ache se mila le. Fir paani ko pee jaaye. Ye paani aapke sharir mein paani ki kami ko pura karega. Or aap jaldi thik ho jaayege.
• Lemon Juice :- Lemon Juice Peeye. Ek glass mein aadha nimbu ka ras nikale or paani mila le. Thodi shakar mila le or pee jaaye. Ise sharir mein paani ki kami puri ho jaati hai.
• Light Khaana khaaye :- Food poisoning hone se aap ko light khaana khaana chahiye. Jaise ki khichdi. Or khaas baat oily cheeje na khaaye na hi masale wala khaana.
• Honey aur Ginger Ras :- Thodi si adrak pees ke uska ras nikale lag bag adha chamach or aadha chamach honey. Dono ko achhe se mila le or ras pee jaaye. Ise bahut fayda hoga. Adrak mein antioxidant properties rehti hai. Isse aap thik ho jaayege.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog