Aaj kal is baag daud bari duniya mein har kisi ko time ki bahut kami hai. Kisi ke paas time nahi hai. Har koi bina nasta kiye subah subah jaldi office, shop ya school chala jaata hai. Par nasta na karne se bahut pareshani ho sakti hai. Nasta na karne se aap bimar bhi pad sakte hai.
BREAKFAST NA KARNE SE KYA HOTA HAI :-
◆ Breakfast na karne se pure din mein bhukh jyaada lagti hai or fir jyaada weight badne ke chances rehte hai.
◆ Breakfast na karne se headache bhi hota hai. Is liye breakfast karna jaruri hai.
◆ Ek research mein paya hai ki nasta na karne se heart attack ke chances 30 percent bud jaate hai.
◆ Energy pure din mein bahut jaldi gat jaata hai. Is liye nasta karna chahiye.
◆ Kuch na khaye ge to tension jyada hogi.
◆ Kaam karne mein man nahi lagega.
◆ Acidity hone ke chances jyada ho jaate hai. Agar aap khana nahi khaayege to.
◆ Yaadasht kamjor ho jaati hai agar aap nasta nahi karte hai to.
◆ Subah nasta is liye karna chahiye ki hamari body mein raat se subah tak kuch nahi jaata hai. Ye samay 10 ghante tak ya usse adhik hota hai. Is liye hume nasta jarur karna chahiye.
◆ Mood kharab ho jaata hai agar nasta nahi karte hai
◆ Decision galat lene ke chances jyaada hote hai.
◆ Nuksaan jyaada ho sakta hai. Is liye nasta jarur kare.
0 comments:
Post a Comment
Add your valuable comments related to blog