Ji haan dosto aaj hum batayege kaan dard ka gharelu asardar ilaj hindi mein. Ear pain to kisi ko bhi ho sakta hai fir chahe wo jawan ho ya buda ye dard sardi ke mausam mein jyaada logo ko hota hai. Iska kaaran hai ki mel ka kaan mein jam jaana or isi liye fir kaan mein bahut dard hota hai. Ye dard asani se nahi jaata hai par hume is dard ka ilaj jaldi aur jarur karna chahiye. Is dard se bachne ke liye aaj hum kuch gharelu ilaj batayege. Jisse kaan dard ko thik kiya jaa sakta hai. Bahut hi aasani se. Aap is dard se puri tarah se chutkara paa sakte hai bahut jaldi. To aaye hum bata rahe hai kuch aasan nuskhe jisse dard kam ho jaayega aur aaram milega.
Kaan dard hone ke kaaran :-
• Kaan mein mel jam jaana
• Sujan hona
• Kaan mein paani jaane se
• Kuch lagne se kaan dard hota hai.
Kaan dard ka ilaj hindi mein / Treatment of Ear Pain in hindi :-
• Kaan dard ke liye jo sabse purana nuska hai wo ye hai ki aap kuch tulsi ki patiyo ko le aur uska ras nikal le fir us ras ko apne kaan mein ek se do baar daal de. Aap ko kaan dard se chutkara mil jaayega. Tulsi ka ras kaan me dalne se bacteria mar jaayege aur infection bhi hone ki samasya nahi hogi.
• Jaitun tel bahut hi faydemand hota hai. Aap Jaitun ke tel ki kuch boonde daal de. Isse mel nikal jaayegi. Or sunne mein koi takleef nahi hogi.
• Aap kaan mein hydrogen paraoxide ki ek boond daale or mel se jaldi chutkara paayenge.
• Sarso ka tel bhi kaan khulne mein bahut madad karta hai. Aap kuch boonde kaan mein daal kar aap thodi der mein jami mel ko nikal sakte hai apne haath se.
• Raat mein takiya rakh ke soye. Ise mel bahar nikalne mein madad milegi.
• Adrak ka ras nikal le aur kaan mein 2 boond daal de. Isse kaan dard thik ho jaayega.
• Lagatar kuch khaana chabane se kaan ki mel nikalti hai.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog