Pet ka dard aksar jyaada khaane peene se, bahar ka khaana khane se, masaledar khaane se, oily khaana khaane se, ashudh paani peene se hota hai. Hamesha koshish kare jaruat se kam khaane ki aur heavy khaane ka sevan na kare. Kai baar dard kaafi jyaada hota hai jisse hum ko sehen nahi hota hai. Bas koshish kare aap khaana jyaada na khaaye. Kuch log tablet ka sevan karte hai dard ko khatam karne ke liye. Aapko bata dete hai ki tablet ka upyog kam kare. Aaj hum aapko gharelu ilaj aur Upay batayege. Jisse aap asani se pet dard ka upchar kar sakte hai.
Pet dard ka ilaj / Treatment of Stomach Pain :-
• Muli :- Muli khaane se pet dard mein lab milta hai. Anek samasya pet se jo sambandit hoti hai. Muli khaane se dur rehti hai. Muli ko rojana khaana chahiye. Sardiyo mein kam khaaye. Thandi rehti hai.
• Adrak aur Nimbu :- Adrak aur Nimbu ka ras nikal le. Adrak ka ras 1 chamach aur 1 chamach nimbu ka ras. Thodi si peesi cheeni daal le. Aur sab ko mix kar le or pee jaaye. Aap ko jaldi fayda hoga.
• Tulsi :- Tulsi mein antibacterial properties paayi jaati hai. Tulsi ka sevan purane jamane se kiya jaa raha hai. Tulsi bahut faydemand hoti hai. Tulsi ka ras nikal le lag bag 10 gm or pee jaaye. Fayda hoga.
• Awla :- Awla khaane se pet dard nahi hota hai. Aur pet dard se raahat milti hai. Awla ka murabba ya awla ki supari khaaye. Isse aram milega.
• Piyaj ka ras :- Piyaj ka ras faydemand hota hai. Piyaj ke ras mein aap thoda sa namak mila ke bhi sevan kar sakte hai. Bahut fayda hoga.
• Saunf :- Saunf khaane se bhi fayda hota hai. Saunf khaaye or dard bahaye.
• Eno :- Medical store mein asani se Eno mil jaayega. Eno se pet dard kam hota hai.
• Dahi :- Dahi khaane se pachchan shakti badti hai. Dahi khaaye rojana.
• Peppermint :- Peppermint se bani chai peeye. Isse pet dard gayab hoga.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog