Aaj kai log jab bus, ya ven ya fir kai bar train ya kisi bhi band gaadi mein bahar kai jaate hai to unhe ulti ki problem hoti hai. Jisse hum english mein vomiting kehte hai. Ulti aana kai baar jee ghabrane se raahat deta hai. Kai baar hum bechaini mehsus karte hai. Ulti aane se hi acha lagta hai. Kai baar ulti hone ke kaaran food poisoning hona bhi ho sakta hai. Kabhi hum jaruat se jyaada khaana kha lete hai or baad mein direct hum sone chale jaate hai. Toh isse humare seena baari lagta hai. Or dard hota hai fir ulti aati hai. Is liye hume khaane ke baad letna nahi chahiye.
ULTI HONE KE KAARAN :-
◆ Ulti tab hoti hai jab hum masaledar bahar ka khaana khaate hai.
◆ Sharab adheek peene se.
◆ Acidity hone se ulti hoti hai.
◆ Time pe na sone ki wajah se.
◆ Kisi cheej ki allergy ki wajah se.
◆ Mahila ko ulti ki samsya ka kaaran pregnancy bhi ho sakta hai.
ULTI ROKNE KE GHARELU UPCHAR :-
◆ Thoda sa jeera powder lagbag half spoon. Ek cup gungune paani mein daal ke peeye. Ulti nahi aayegi. Jee nahi gabraayega. Acha mehsus karenge.
◆ Kai baar ulti hone ke kaaran paani ki kami hota hai. Ek gharelu upay jisse aap jarur kare. 1/2 glass paani mein thoda sa namak aur 1 chamach shakar mila ke peeye. Ulti nahi hogi. Paani ki kami puri ho jaayegi.
◆ Saunf khaane se ulti nahi aati hai. Saunf ko chaba chaba ke khaane se ulti nahi hoti hai.
◆ Agar aapka pet kharab hai or ulti bhi ho rahi hai. To ye nuskhe ko jarur kare. Aap ek cup paani ko ubalne ke liye rakh le. Usmein kuch sookhe pudine ki patiya ko daal ke. Thoda thanda hone ke liye rakh le. Jab puri tarah se thanda ho jaaye. To paani peeye.
◆ Pregnancy ke kaaran agar ulti hoti hai. To aap gungune paani mein nimbu ka ras nikal ke thoda sa shakar mila le. Or pee jaaye. Ulti nahi hogi. Saath hi achha lagega.
ULTI HONE KE BAAD KYA KARE :-
◆ Agar ulti hui aapko to aap paani mein namak mila ke kulla kare. Isse aapke muh ka swaad acha hoga.
◆ Ulti ke baad masaledar ya nonveg na khaaye. Agar khaana hai to khichdi khaaye. Achha lagega.
◆ Koshish kare aap thoda aaram karne ki.
SAFAR MEIN ULTI KAISE ROKE :-
◆ Dosto aapne kai baar bus mein jaate samay ulti jaisa lagta hai. Agar ulti ko rokna hai safar mein to koshish kare chai peene ki. Jin logo ko chai peene ki aadat hoti hai unhein ulti nahi aati hai safar mein.
◆ Saunf ya meethi supari safar mein le le. Ulti nahi hogi.
◆ Bus ya train jis mein bhi aap safar kar rahe hai. Seat ke niche paper bicha ke baith jaaye.

0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog