Kesar aam taur mein sevan mein garam hoti hai. Iska upyog thand ke mausam mein karna chahiye. Iska upyog andar bahar dono tarike se kiya jaata hai. Kesar twacha mein lagane se twacha mein daag dabe nikal jaate hai. Wahi iske 3 - 4 reshe dudh me mila ke peene se thand nahi lagti hai. Sardi mein iska upyog jarur kare. Kesar ka upyog kai varsho se kiya jaata hai. Skin problem nahi hoti hai iske upyog karne se.
KESAR KE FAYDE HINDI MEIN :-
◆ Skin Glow :- Pregnant women kesar ka upyog jarur kare. Ise skin glow aata hai. Chehre saaf ho jaayega. Dag dabe gayab ho jaate hai.
◆ Aankh ki Roshni achi karta hai :- Ek study mein paaya gaya hai ki kesar ka sevan karne se aankhein kharab nahi hoti hai. Jo log jyaada computer, mobile phone, tv ka upyog jyaada karte hai. Wo log kesar ka jarur sevan kare.
◆ Sharp Memory :- Ek study mein ye bhi bataya hai ki kesar ka sevan karne se memory sharp hoti hai. Yaadasht achi hoti hai. Aur samajne mein koi pareshani nahi hoti hai.
◆ Kesar Milk :- Sardiyo mein kesar dudh jarur peena chahiye. Bahut thodi matra mein hi kesar ka prayog hota hai dudh mein. Kesar dudh peene se thand nahi lagegi. Dhyaan rahe iska upyog bahut hi kam karna hota hai. 2- 4 rashe hi dudh mein milaye.
◆ Healthy Heart :- Kesar ke sevan se heart disease nahi hoti hai. Kesar heart ko swasth rakhne mein madad karta hai.
KESAR KE NUKSAN HINDI MEIN :-
◆ Iska sevan adheek matra mein karne se ulti, bachaini ho sakti hai.
◆ Sirdard ke hone ke chances jyaada hote hai. To iska sevan kam hi kare.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog