Belly Fat Loss Tips in Hindi :-
Aaj belly fat ki problem jyada logo ko ho gayi hai. Belly fat yaane aapka pet badna or usmein fat jama hona. Dosto aapko bata dete hai ki ye age ke hisab se kai gambhir bimari ka kaaran ban jaata hai. To aaj hum aapko kuch tips batayege jisse belly fat loss ho sake wo bhi hindi mein.
Iska karan galat khaan paan, thik se neend na lena, physical work na karna, paani na peena, oily cheeje khaana. Ye sabhi karan ki wajah se belly fat hota hai.
Belly Fat Loss Homemade Treatment :-
◆ Jeera Ka Sevan :- Jeera bahut faydemand hota hai belly fat loss karne mein. Aap iska sevan 15 din tak rojana kare.
Sevan Kaise Kare :- Aapko raat mein sone se pehle ek glass paani mein aadha chamach jeera daal ke rakh le or uske upar bartan rakh le. Fir subah aapko us paani ko ubale. Usse tab tak ubale jab tak paani aadha hi jaaye. Fir chaan le or usse garam hi peeye. Dhyaan rahe aapko jeera aadha chamach hi upyog karna hai. Ye aapke belly fat ko jaldi hi kam karega.
◆ Papaya jarur khaaye par jyaada na khaye. Kyu ki ye garam hota hai.
◆ Fruit or Hari sabji jarur khaaye isse fayda hoga.
◆ Rojana 30 minute exercise jarur kare. Tabhi hi aap charbi ko kam kar paayenge.
◆ Awla khaana bhi acha hota hai.
Belly Fat In Cheejo Se badta Hai :-
◆ Chawal, Aalu na khaaye kyu ki in mein carbohydrate hota hai. Jo ki sharir mein fat badta hai.
◆ Chiku na khaaye.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog