Papaya ek aisa fruit hai jo poore saal paaya jaata hai. Papaya khaana bahut labdhaayak hai. Ye aapke pachan ko thik karta hai. Acidity Jaisi problem Ko dur rakhta hai. Waise isse khane ka sahi samay subah hai. Koshish kare isse morning ya fir afternoon mein khaaye. Dhayan ye rahe ki isse night mein na khaye. Kyun ki night mein khane se aapke pachan ko kharab kar sakta hai. Toh aaye aur jaante hai papaya ke Fayde.
Papaya ke Fayde Hindi Mein :-
◆ Weight Lose Karne Mein Help Karta hai :- Papaya mein baari matra mein fibre majud hote hai. Jo weight lose mein bahut help karta hai. Aur isse weight jaldi kam hota hai. Agar soch rahe hai weight kam karne ka toh aaj he se aap papaya apni diet mein shamil kare
◆ Bad Cholesterol Kam Karta Hai :- Papaya cholesterol kam karta hai. Ismein fibre, antioxidant, vitamin C hote hai jo bad cholesterol dur karte hai.
◆ Eye Power Increase Karta Hai :- Ismein Vitamin C hota hai. Agar aap chashmah pehente hai toh jarur papaya ka sevan kare isse lambe samay tak aapka eye power rahega.
◆ Digestion Thik Karta hai :- Papaya mein kai fibre aur digestion enzymes hote hai. Jo aapke digestion ko thik rakhta hai.
◆ Papaya Sundar Twacha Banata Hai :- Papaya ko cheel ke mash karle fir apne chehre pe lagale. 15 minute tak isse chehre pe lagake rakhe fir chehre ko paani se wash kare. Isse chehra saaf hoga, pimples dur ho jaayege.
◆ Twacha Mulayam Karne Mein Papaya Upyog Kare :- Har koi apni twacha mulayam karna chahta hai khaas kar ladkiya. Toh jaan kete hai twacha pe iska upyog kaise karte hai. Papaya ko sabse pehle mash kare aur usmein nimbu ki bunde mix kare 10 se 15, thoda tomato mash kare aur in sab ingredients ko ache se ek saath mix karle. Aur fir skin pe use kare. Aur kuch der baad snaan karle. Aapki twacha soft rahegi.
Papaya Ke Nuksan Hindi Mein :-
◆ Allergy :- Papaya mein majud enzymes se allergy hone ke chances ho sakte hai. Jaise kisi bhi prakar ki allergy depend karta hai ye aapke sharir pe.
◆ Pet Dard :- Jyaada papaya khane se gastrointestinal system mein problem hoti hai.
◆ 18 Month Se Chote Bache Papaya Na Khaye :- Dhayan rahe 18 month se chote bachhe papaya na khaye.
0 comments:
Post a comment
Add your valuable comments related to blog